Jaag uthe armaan aaj hain, fir kuch karne ki chah mein
Chhoot gaye peeche parhav hain, paa liye jo kal the
Parv aaj seedha kharha hai, lakshya dikhaye chunauti de
Na rukna hai, na thamna hai jayenge ab karm bhumi mein
Rah yeh saral na hogi, jaan yeh ham satark hain
Manzil kathintam kathin hogi, jaan yeh ham adag hain
Paa liya tha paharh toh fir parv yeh kya cheez hai
Jeet liya duniya ko toh fir bandhu
Larhki yeh kya cheez hai!
Soch yeh main chal parha, rah ki us pagdandi par
Soch yeh main ghus gaya, ishq ki us ran bhoomi mein
soch yeh main chaturai se, laga baandhne dhaage anek
Pra socho kya mera haal hua, jab thukraye usney mere prastav anek!
Yojnayein bani aur bigarh gayi
Bahaane banyaye aur toot gaye
Kahawatein kahin jo muk rahin
Aur baazi samajho haari si gayi
Par fir achanak chamtkar hua
"Random" sa ek hahahkaar hua
Aur hazaaron lakhonh yugon ke uprant
Mera pehla dao safal hua
Bas fir kya tha, main tut parha
Har ek sambhav prayas kiya
Jo kuch tha sab luta diya
Aur ant mein usey paa hi liya
Aur aaj paakar harshit hoon,
Khushi ki maar ko seheta hoon,
Par sabak main seekh chuka hoon
Saara vishv ek taraf aur yeh nazuk si ladki alag!
Love, forbidden
9 years ago
2 comments:
WOW!
Some one s very lucky!
Lol... yeah.. ME!!!!!
Post a Comment