Sach kehne ko na bolo, sach bolte muh jhijhakta hai
Jhooth mein zinda rehne ki aadat si ho gayi hai
Muskurane ko na bolo, muskurahat bhi khokhli hai
Iss gam ke sehre mein dum ghutaane ki aadat si ho gayi hai
Tumse apni mohabbat chipaate chipaate
Iss dil ko dard ki barkhat ki aadat si ho gayi hai
Tumhare lavz iss dil ka sooraj hain, tumhara chehra iska chand
Ab bin Roshni rehne ki aadat si ho gayi ai
Tumhari hasi iski bhookh aur tumhari khushi iski pyaas
Ab tumhari tamannayon ke chaayon mein jeeney ki aadat si ho gayi hai
Tumse apni mohabbat chipaate chipaate
Iss dil ko dard ki barkhat ki aadat si ho gayi hai
Kehne ko hain nadiyaan aur bataane ko hain Aakash
Par chup rehne ki aadat si ho gayi hai
Dil mein hai tumhaare armaan kayi, aur kuch humaare bhi
Par kaagaz nahin boltey, ab tumhaari tasveer se dosti karne ki aadat si ho gayi
Tumse apni mohabbat chipaate chipaate
Iss dil ko dard ki barkhat ki aadat si ho gayi hai
Chalo koi baat nahin, naya savera, naya din
Ab roz ummeed baandhne ki aadat si ho gayi hai
Khuda ki rehmat hai aaj tak tumhare pyaar mein
Dil ke tootey tukarhon se ek suneheri tasveer bananey ki aadat si ho gayi hai
Tumse anjaane mein mohabbat nibhaate nibhaate
Iss dil ko dard ki barkhat ki aadat si ho gayi hai