Sach kehne ko na bolo, sach bolte muh jhijhakta hai Jhooth mein zinda rehne ki aadat si ho gayi hai Muskurane ko na bolo, muskurahat bhi khokhli hai Iss gam ke sehre mein dum ghutaane ki aadat si ho gayi hai Tumse apni mohabbat chipaate chipaate Iss dil ko dard ki barkhat ki aadat si ho gayi hai Tumhare lavz iss dil ka sooraj hain, tumhara chehra iska chand Ab bin Roshni rehne ki aadat si ho gayi ai Tumhari hasi iski bhookh aur tumhari khushi iski pyaas Ab tumhari tamannayon ke chaayon mein jeeney ki aadat si ho gayi hai Tumse apni mohabbat chipaate chipaate Iss dil ko dard ki barkhat ki aadat si ho gayi hai Kehne ko hain nadiyaan aur bataane ko hain Aakash Par chup rehne ki aadat si ho gayi hai Dil mein hai tumhaare armaan kayi, aur kuch humaare bhi Par kaagaz nahin boltey, ab tumhaari tasveer se dosti karne ki aadat si ho gayi Tumse apni mohabbat chipaate chipaate Iss dil ko dard ki barkhat ki aadat si ho gayi hai Chalo koi baat nahin, naya savera, naya din Ab roz ummeed baandhne ki aadat si ho gayi hai Khuda ki rehmat hai aaj tak tumhare pyaar mein Dil ke tootey tukarhon se ek suneheri tasveer bananey ki aadat si ho gayi hai Tumse anjaane mein mohabbat nibhaate nibhaate Iss dil ko dard ki barkhat ki aadat si ho gayi hai
Love, forbidden
9 years ago