khamoshi ke in lamhon ka kya karunga mein?
tanhayee ke is alam se kaise sahunga mein?
kaise mitayoonga apne kaanon men parhne waali is sannate ki aahat ko
batao priyatam tum bin kaise rahunga mein
man se sochte samjhte hain yeh jaanta hun mein
par kya gila is dil ki jo yeh hamesha rota hai
hasne ki chah ho toh bhi isey hamesha
has ke firse rona hi parhta hai
kyon yeh duniya nahin samajhti ki pyaar kya cheez hai
kyon yeh khuda nahin samjhta ki aashiquon ki doorie kya cheez hai
kyon yeh jahaan nahin chahta ki milan ki gharhi kabhi naa aaye
kyon, akhir kyon swayam bhagya nahin chahta ki ham pass naa ayein
aur agar bhagya maan bhi gya toh fir is man ka kya karunga main
yeh toh bechara asliyat ki waqfiyata ka shikaar hai
kuch sapna dekh nahin pata koi bhav samjh nahin pata
dil kuch kehta hai toh jawaab de deta hai, nahin yeh impractical cheez hai
Sometimes i wonder if too much of sense and thinking is a bane given to us as punishments of crimes unknown.